Meray aas paas kaun hai
Mujhay sab ilm hai aaj bhi
Mujhay log samajhtay hain be-khabar
Mujhay sab khabar hai aaj bhi
Meri soch ruk si gayi hai kuch
Meray bachpanay ki yaad mein
Mujhay doston ne bhula diya
Mujhay yaad hain woh aaj bhi
Mera ghar wahi, mera dar wahi
Mujhay yaad hain woh sab raastay
Mujhay roktay hain qafas kai
Meri raah mein hain rukawatein
Meri neend kyun hai ujjarr gayi
Meri bhook bhi hai ab mitt gayi
Meray paas baitho, mera khwaab bano
Mujhay apne haath se khilao bhi
Meray apne dukhi, mujhay dekh kar
Main yeh kaisay karoon unhein khabar
Mujhay zindagi ki tamanna hai
Mujhay fatwa-e-maut na sunao abhi