Rang-o-raqs ki mehfil
Aur nashey mein doobay log
Jismon ka hai takrao
Aur haya ki hadein huien paar
Sinf-e-nazuk pe hua waar
Ek maidan-e-jang
Jahan har simt hain balway
Aurat bani ek nishana
Is aah-o-fughaan mein
Kaun sunay ab us ki pukar
Sinf-e-nazuk pe hua waar
Veeraan sarak
Aur ghup andheri raat
Ek mard ka tashaddud
Ek aurat be-bas o laachaar
Sinf-e-nazuk pe hua waar
Umr bhar ka hai rishta
Lekin mohabbat nahin is mein
Ek mard ki hawas
Aur aurat ka hai inkaar
Sinf-e-nazuk pe hua waar
Thukraayi hui aurat
Ghar se hui be-ghar
Rozgaar ki tag-o-dau
Aur maalik karay takraar
Sinf-e-nazuk pe hua waar
Apni chhat ke saaye talay
Khaandaan ki panaah mein
Ek shakhs jo tha apna
Aaj bana wehshi-o-khoonkhaar
Sinf-e-nazuk pe hua waar
Kyun na
Mehfilon ki raunaq
Haya se saja dein
Maidan-e-jang mein
Aman ki sada dein
Andheri sarakon par
Roshni ke diye jala dein
Rishton ki nafrat ko
Mohabbat mein badal dein
Thukraayi hui aurat ko
Us ki izzat lauta dein
Apnay hi ghar mein
Apno se panaah dein
Kyun na har waar ki qeemat
Is se barray waar se lauta dein
Kyun na sinf-e-nazuk ko aaj
Sinf-e-Ahan bana dein!!!