Sab makaan-o-saamaan
Aaj veeraan parray hain
Chey gaz ka kafan
Aur kacchi si zameen
Ja basa hai lahad mein
Aaj woh hum mein nahin
Is par phoolon ki chaadar
Kyun bichate hain hum
Khushk mitti pe kabhi
Gul khilay hain kaheen
Saaray tamghay sab in’aam
Is ek faatih ke naam
Jis ne jeeti to hain jangein
Par woh ghaazi to nahin
Nekiyon ki ek fehrist
Aur a’maal be-misaal
Ab tazkira un ka kaisa
Jab woh maujood hi nahin
Aaj nadaamat ke aansoo
Aur khataon ki maafi
Dil dukhaanay ke asbaab
Kis se maangein talaafi
Kitni der kar di hum ne
Ab woh door hai kaheen