Mera Kaaba, tera mandir, us ka kaleesa
Rastay hain sab aik hi ghar ko, aik hi Khuda
Kis ne poocha deen ya mazhab dil jab diya
Mit gaye saaray rasm-o-bandhan ishq mera imaan bana
Dil ki baatein
Dil hi jaanay
Koi na poochay deen-o-mazhab
Milnay ke hon sau sau bahaane, mil jati hain sochein jab
Jang-o-jadal mein mittay hain betay hon ya baap kisi ke
Maatam har ghar hota hai
Ghar to ujrein aik hi jaisay
Toofan ho ya uftaad ho koi
Sau haath jab aagay barhtay hain
Kya rang-o-nasal
Dekh ke woh
Waapis hatnay lagtay hain?
Bazaar mein aurat
Jism ko bechay
Gaahak har soo aatay hain
Kya deen-o-mazhab pooch ke us se
Waapis ghar ko jaatay hain?
Qanoon-e-Khuda hai
Janmon se
Kya tujh ko yeh mauloom nahin
Har maa ki kookh se aik hi rasta laata hai hum sab ko yaheen
Maalik ne hum sab ko banaya
Saanchay se ek jaisay hi
Poshak mein heeray jar jar ke kar letay hain tafreeq sabhi
Logon
Ab tum hosh mein aao
Duniya hai ek gorakh dhanda
Jo na samjhay in baaton ko
Us ko keh do, hai woh andha